Thursday, July 18, 2013

دیسی مرغی - - Desi Murghi

ik baar kuch aisa hua  
ایک بار کچھ ایسا ہوا

Mein net pe chalte chalte  
میں نیٹ پےچلتے چلتے

bahut door tak nikal gaya
بوہت دور تک نکل گیا

dekha tu ird gird mere 
دیکھا تو ارد گرد میرے

murghion ka ghoal tha 
مرغیوں کا غول تھا

gori chitti lambi naati 
گوری چٹی لمبی ناٹی

patli moti gori gori 
پتلی موٹیگوری گوری

chiknee chiknee murghian
چکنیچکنیمرغیاں

kuk kuk karti murghiyaan
کک کک کرتی مرغیاں

apni adaoan mein yakta 
اپنی اداؤں میں یکتا

naaz mein apne bemisaal 
ناز میں اپنے بے مثال

mein bhi unke jaal mein 
میں بھی انکے جال میں

holay holay phans gaya 

ہولے ہولے پھنس گیا
kuch din tu guzray khair se 

کچھ دیں تو گزرے خیر سے
phir par nikalay murghi ne 

پھر پر نکالے مرغی نے
aur bewafa ne zulm ka 

اور بےوفا نے ظلم کا
tora mere sur per pahaar 

توڑا میرے سر پر پہاڑ
moqa milte hee kameeni 

موقع ملتے ہی کمینی
phur se urr hamsaye kee mudair per 

پھرر سے اڑ ہمسایے کی منڈیر پر
ja baithi aise ke jaise 

جا بیٹھی ایسے کے جیسے
mujh se kabhi aashna hee na thi 

مجھ سے کبھی آشنا ہی نہ تھی
tab mujhe yaad aaeen bahut 

تب مجھے یاد آئیں بہت
apne watan keee murghiyaan 

اپنے وطن کی مرغیاں
namkeen jin ka rung he 

نمکین جن کا رنگ ہے
pakeeza jin ka ung he 

پاکیزہ جن کا انگ ہے
dil he jin ka ba safa 

دل ہے جن کا با صفا
hein jo mujassam ba wafa 

ہیں جو مجسّم با وفا
ghar kee murghi ko kabhi 

گھر کی مرغی کو کبھی
Daal na samjhay koi 

دال نہ سمجھے کوئی
farm ki murghi he kam aseel 

فارم کی مرغی ہے کم اسیل
desi murghi hee ko jaano 

دیسی مرغی ہی کو جانو
tum apne jeene kee sabeel!

تم اپنے جینے کی سبیل

- Mazhar Butt
مظہر بٹ

No comments:

Post a Comment